ham-sae ke nam

kuchh tum ne kaha
kuchh main ne kaha

aur badhte badhte baat badhi
dil ub gaya

dil dub gaya
aur gahri kali raat badhi

tum apne ghar
main apne ghar

sare darwaze band kiye
baithe hain kadwe ghunt piye

odhe hain ghusse ki chadar
kuchh tum socho

kuchh main sochun
kyun unchi hain ye diwaren

kab tak hum in par sar maren
kab tak ye andhere rahne hain

kina ke ye ghere rahne hain
chalo apne darwaze kholen

aur ghar ke bahar aaen hum
dil thahre jahan hain barson se

wo ek nukkad hai nafrat ka
kab tak is nukkad par thahren

ab is ke aage jaen hum
bas thodi dur ek dariya hai

jahan ek ujala bahta hai
wan lahron lahron hain kirnen

aur kirnon kirnon hain lahren
in kirnon mein

in lahron mein
hum dil ko khub nahane den

sinon mein jo ek patthar hai
us patthar ko ghul jaane den

dil ke ek kone mein bhi chhupi
gar thodi si bhi nafrat hai

is nafrat ko dhul jaane den
donon ki taraf se jis din bhi

izhaar nadamat ka hoga
tab jashn mohabbat ka hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close