ajnabi dost, bahut der mein roya hai tu! apni aawaz ke sannate mein baithe baithe aur aankhon se ubhar aai hai sayyal-e-fughan apni majburiyan lachaariyan bikhraati hui reg-e-hasti ke nizamat se jhunjhlati hui ai udasi ki fazaon ke parinde ye bata apne anfas ke tarik bayabanon mein aur tu kya hai zamanon ki siyahi ke siwa, aur tu kya hai sarabon ki gawahi ke siwa, raat mein sard sitaron ki jamahi ke siwa tere chehre ki zamin par jo nami hai ab bhi dil ki sab bastiyan us mein hi thithur jati hain, apne sahme se kinaron pe thapede kha kar ab bhi duniya ke sisakne ki sada aati hai ajnabi dost, ai manus muqaddar ke makin apni aawaz ke sannate mein baithe baithe ye bhi kya kam hai ki tu apne jawan ashkon se apne haalat ke daman ko bhigo sakta hai us jahan mein ki jahan sukh gaya hai sab kuchh ye bhi kya kam hai ki tu aaj bhi ro sakta hai!