raat bhige to purane qisse pae tartib koi aur sahaara dhunden chandni nind ka phaila hua jadu le kar dil ke be-khwab nagar mein utre aur hawa dhup se baulai hui sadkon par loriyan gati nikle os har phul ke daman mein sitare bhar de lekin is khwab-e-khayali ka natija kya hai raat ki god mere dard ki manzil to nahin daman-e-gul pe chamakti shabnam loriyan deti hui sard hawa chandi ki narm sunahri kirnen sab ke sinon mein utar jaengi kal ke suraj ki jhulasti kirnen dard phir khak-ba-sar aaega khwab ki aankh mein simta hua sara kajal khud usi khwab ke chehre pe bikhar jaega dil ke qisson ka muqaddar hai pareshan-haali pae tartib sahaaron ka taaqub chhodo soch ke bakht mein izhaar ka lamha kab tha dil-e-nakaam sarabon ka taaqub chhodo subh-dam phir wahi putli ka tamasha hoga jagti raat ke khwabon ka taaqub chhodo
Please share if you liked this!!!