jism aur ruh mein aahang nahin lazzat-andoz-e-dil-awezi-e-mauhum hai to khasta-e-kashmakash-e-fikr-o-amal tujh ko hai hasrat-e-izhaar-e-shabab aur izhaar se mazuri bhi hai jism neki ke khayalat se mafrur bhi hai is qadar sada o masum hai tu phir bhi neki hi kiye jati hai ki dil o jism ke aahang se mahrum hai tu jism hai ruh ki azmat ke liye zina-e-nur mamba-e-kaif-o-surur na-rasa aaj bhi hai shauq-e-parastar-e-jamal aur insan hai ki hai jada-kash-e-rah-e-tawil ruh-e-yunan pe salam ek zamistan ki hasin raat ka hangam-e-tapak us ki lazzat se aagah hai kaun ishq hai tere liye naghma-e-kham ki dil o jism ke aahang se mahrum hai tu jism aur ruh ke aahang se mahrum hai tu warna shab-ha-e-zamistan abhi be-kar nahin aur na be-sud hain ayyam-e-bahaar aah insan ki hai wahmon ka parastar abhi husn bechaare ko dhoka sa diye jata hai zauq-e-taqdis pe majbur kiye jata hai tut jaenge kisi roz mazamir ke tar muskura de ki hai tabinda abhi tera shabab hai yahi hazrat-e-yazdan ke tamaskhur ka jawab