pighalta dhuan

dur shadab pahadi pe bana ek bangla
lal khaprailon pe phaili hui angur ki bel

sehn mein bikhre hue mitti ke raja-rani
munh chidati hui bachchon ko koi diwani

seb ke ujle darakhton ki ghani chhanw mein
panw dale hue talab mein koi ladki

gore hathon mein sambhaale hue takiye ka ghilaf
an-kahi baaton ko dhagon mein siye jati hai

dil ke jazbaat ka izhaar kiye jati hai
garm chulhe ke qarin baithi hui ek aurat

ek paiwand lagi sadi se tan ko dhanpe
dhundli aankhon se meri samt take jati hai

mujh ko aawaz pe aawaz diye jati hai
ek sulagti hui cigarette ka bal khata dhuan

phailta jata hai har samt mere kamre mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close