dil ke mandar mein khushbu hai loban ki, ghantiyan baj uthin, dew-dasi thi wo kitne sarkash andheron mein jalti rahi dekhne mein to mashal zara si thi wo nur o naghma ki rim-jhim phuwaron tale muskuraati hui ek udasi thi wo paniyon ki farawaniyon mein rawan us ki hairaniyan kitni pyasi thi wo husn-e-insan se fitrat ki sargoshiyan ghul gain tere lahje ki jhankar mein fan ki takmil sachcha sarapa tira, be-zabani ko laya jo izhaar mein muddaton tak numaish ki khwahish rahi zindagi tab dhali tere kirdar mein jo thi zinda mohabbat ki buniyaad par waqt ne chun diya us ko diwar mein dhup har rup mein, ret har khet mein, fasl jazbaat par khushk-sali rahe do ghadi dil kisi ke khayalon mein gum aur phir umr bhar be-khayali rahe aaina ab tarasta rahe aks ko aur nazar raushni ki sawali rahe mere hisse ka ye aankh bhar aasman jagmagate sitare se khali rahe