likhna jo chahta tha wo likkha nahin gaya nindon mein khwab mit gae alfaz kho gae ek khamoshi ka ped mere dil mein bo gae barish mein bad-hawasi ke sare nuqush harfon ke dhundla ke bah gae aansu ne jo bhi dekha tha us ko mita diya dil ne hawas ki aag ko sari jala diya koi na rang-o-rup dil-e-dard ke qarib aasha bhi mit gai hai nirasha bhi mit gai dil mein koi bhi zauq-e-tamasha nahin rahe apne liye to koi bhi achchha nahin rahe manzar nahin rahe hain to aankhen nahin rahin khamosh hai zaban ki baaten nahin rahin sab para-para ho gaya kis iftiraq mein khali makan sa hai kahan darmiyan mein kuchh zehn mein nahin hai main likkhun to kya likhun sare nuqush ghire hain qadam main kahan rakhun koi rasta nahin hai main kis samt mein chalun manzil dikhai de to main us ki taraf badhun aawaz kho gai ki izhaar main karun ji chahta hai chullu bhar pani mein hi marun koi rasta nahin hai batao main kya karun likhna jo chahta tha wo likkha nahin gaya kya qabr mein sunaunga unhen main dastan munkir-nakir ko main bulaun na kyun yahan wo lafz sath le ke aaen to main likkhun ek aisi nazm jo ho hikayat nai nai ban jae jis se meri bhi qismat nai nai aaina-e-jamal-e-huwaida ko kya hua dida ki raushni ko nazara ko kya hua sab kho gae hain danish o binish kahan chalen ab waqt hi nahin hai ki dil ko samet len sab kuchh udhaar khaya tha kaise ada karen is nafs kar swad mein ji kar bhi kiya karen dariya kinare jaen wahan dub maro hain phir is ke baad hoga kya magar fan hum ko kuchh nahin han jaante hain dur ki ganw ke kanar uglegi rasta ho ke bahut yaad-e-be-karan hathon mein apni pas se kami laegi bahaar ghabra ke sare ganw ke basi pukarenge julusi jalao nak ke kide sidhaarenge phir chalo chalo lakdiyon ke dher par hamein karenge sawar wo ki ban ke phir aag ke nisar jab rakh apni dariya mein phir se bahaenge sahil ki mitti mein nae gul muskuraenge kheton mein taza bute nae paude phir se ubhar aaenge shayad ki khatm ho na kabhi bhi ye silsila kitna bhi tum pukaro use der der tak kitni hi kar lo baith kar tum nai dua gar aasan hota wo sunna tumhaari nida karta koi dawa hota na saneha har har qadam pe karte sajda har kahin is zindagi ka hota har ek lamha jaan-fiza har pal mein nur hota sunsan wadiyon mein chamakta ye qafila aur phailti zamin par is nur ki naha har samt chand hota har ek samt aaftab phir paikaron mein dhal ke har ek khwab aate hi mere ru-ba-ru naya sa qalam koi chalte hum is ke sath bahut dur par kahin phir likhte dastan-e-wajud-o-adam kahin rukta na phir kahin bhi hamara qalam kahin likhna jo chahta tha wo likha nahin gaya