post-man us but ka khat lata nahin aur jo lata hai padha jata nahin aashiqi se kyun hum istifa na den hotalon ka bil diya jata nahin shaikh-ji motor pe haj ko jaiye ahd-e-nau mein unt kaam aata nahin bosa len us sarw-qad ka kis tarah tar par hum se chadha jata nahin aashiqon par zulm karna chhod den kyun-be qasid ja ke samjhata nahin raat din farmaishen zewar ki hain hum se ab aashiq raha jata nahin jal gai cigarette se dadhi shaikh ki ye magar fashion se baz aata nahin farbahi ka tanz kyun mushtaq par teri chakki se to piswata nahin fees pahle jab talak rakhwa na le doctor apne bhi ghar jata nahin baikari mein naukri karni padi wo siwae cake kuchh khata nahin teri furqat mein bahut faqe kate aa ki ab bhuka raha jata nahin kab se hai mehman tu ai hijr-e-yar bhai mere ghar se kyun jata nahin o sitam-gar rokna motor zara mere khachchar se chala jata nahin laundry kholi thi us ke ishq mein par wo kapde hum se dhulwata nahin hazrat-e-ibn-e-batuta ki ghazal zid ke mare wo sanam gata nahin