mera beta abhi tak jail mein hai manaun ‘id kaise main kaise ‘id kar lun nae kapde pahan lun mera beta ki jis ki 'umr athaarah se kam hai wafa-paikar farishton sa fazaon mein sharafat ki pala hai main us ki man hun kaise ‘id kar lun mera masum beta jo nahin waqif zamane ki hawaon se kabhi dekhi na thi us ne ye firqon ki junun-khezi pas-e-parda mazahib ke ta'assub ne hamare munsifon ki bhi basirat chhin li hai aur unhen andha bana dala na tha ma'lum ye sab kuchh tasadum ho rahe the jab wo bas az-rah-e-hamdardi faqat insaniyat insan ke nate bachai thin kai jaanen na jin ko jaanta pahchanta tha wo sabhi the ajnabi phir bhi bacha laya tha un ko dubne se gahre pani mein yahi ek jurm tha us ka jo ab tak jail mein hai wo main kaise ‘id kar lun kis tarah pahnun nae kapde main us ki man manaun ‘id kaise