hum jise kahte the jannat kya yahi kashmir hai shairo tum hi batao ab jo ye taswir hai kya wahi kashmir hai jis ki subh-o-sham par azmaton ke nam par saikdon nazmen likhin ajdad ne dastanen kin raqam wo farishton ki tarah masum sare hi bashar pak-daman wo pari-chehra hasinaen ki jin ko hur wo kahte rahe likhte rahe aur duniya mein yahi charcha kiya is zamin par hai agar jannat kahin bas yahin hai bas yahin hai bas yahin jhil ka darpan sajile margh-zar aasman se baat karte dewdar jhumte gate machalte aabshaar shah-rahon par safede ki qatar barf mein lipte pahadon ke badan dal ke sine par shikaron ki phaban kohsaron se pare nila gagan mukhtalif mausam chanaron ke badalte pairahan dekh kar sare manazir dil-nashin jaane kitne hi musawwir ne banae shahkar aur phir tashhir ki jannat-e-kashmir ki sach batao shairo naqqash-o-afsana-garo kya yahi wo jannat-e-kashmir hai har taraf mayusiyan mahrumiyan be-yaqini zindagi ghaarat-gari maut ke sae saron par har ghadi khauf-o-dahshat ku-ba-ku zafrani khushbuon mein bas gai barud bu gul-kadon ke pas fauji chaukiyan nafraton ke darmiyan khwab ho kar rah gaya amn-o-aman sach batao shairo surat-garo ab jo ye taswir hai kya wahi kashmir hai jannat-nishan