khuda gar hamein ek parinda banata jahan mein hum ek aashiyana banate kisi sabz wadi mein apna nasheman ya sehn-e-chaman ko thikana banate kabhi udte baadal mein hota basera kabhi dalte kunj-e-wahshat mein dera kabhi daman-e-koh hota hamara kabhi banta ghar ek nadi ka kinara kabhi git gate ghataon ke niche kabhi hote pagal hawaon ke pichhe fazaon mein hum subh se sham karte andhere se pahle zamin par utarte koi gulistan mulk hota hamara hum is ke liye ek tarana banate khuda gar hamein ek parinda banata use hum parinde khuda na banate