ai parinde tu hai apni aag mein jalta hua dur se lekin dhuan uthta nazar aata nahin aisa lagta hai ki hain shole faza mein har taraf aasman nila magar dhundla nazar aata nahin kuchh pata chalta nahin ye sard hai ki garm hai tere dil ki aag ki lau sakht hai ki narm hai katti hai dil ke shishe ko ye hire ki tarah jhilmilati hai samundar mein jazire ki tarah kashtiyon ke baadban chalte hain is ko dekh kar aur sitare raat bhar jalte hain is ko dekh kar phul bhi sham-o-sahar darte nahin is aag se raqs ki apne banate hain wo lai is rag se ai parinde main kisi din pas tere aaunga aur teri jalti hui is aag mein jal jaunga