ek umr dil ke pas raha wo magar kahin jab bhi mila to jaise ki kuchh jaanta nahin aankhon mein ek ajib shanasai thi magar gahraiyon mein dil ki pazirai thi magar dekha kuchh is tarah se ki pahchanta nahin kuchh hum se aashnai hai ye manta nahin main ne kaha ki tum se mulaqat hai bahut har roz rasm-o-rah-e-mudaraat hai bahut kahne laga ki koi khalish hai nigah mein hail hai fasla koi barson ka rah mein mahw-e-safar hain aur abhi ham-safar nahin hamrah dil ke dil hai magar rahguzar nahin khwabon mein subh-o-sham mile bhi agar to kya do-chaar phul dil mein khile bhi agar to kya jo kuchh dil-o-nigah ne chaha wo ho gaya ye socha dil ne aur nigahon mein kho gaya