aasman ka ek hissa mere dekhne ke liye hai aur zamin ka ek hissa tumhaare chalne ke liye suraj tumhaari aankhon se nikalta aur chand mere dil mein dub jata hai samundar ka shor tumhaare dil mein band hai aur dariya ki khamoshi meri aankhon mein tum ek kashti mein safar karti ho aur main us ke sath sath udne wale baadal mein mujhe diwar par baitha hua safed kabutar achchha lagta hai aur tumhein pinjre mein qaid ek kali chidiya jo andhere mein barish ke baad nikalne wali bair-bahotiyon ki tarah surkh ho jati hai tumhaara dil granite se bana ek mor hai jo apne pairon ko dekh kar ro nahin sakta aur mera dil mitti mein dhansi hui ek barudi surang jo tumhein raste se guzarta dekh kar dhamake se tukde tukde hona bhul jata hai