din jo kahta hai mat sun dhup kandhon par uthane se bhi hat ja dher se ghusse ko apni mutthiyon mein bhar ke le aa shahr bhar ke munh pe mal de har taraf kalak hi kalak pot de diwar-o-dar par din ke sab aasar dha de noch le aakash se jalte hue khurshid ko dhup ki chadar ko kar de tar tar aur phir ghar aa ke ho ja be-libas band ho ja ghar ki andhi kothari mein band rah lambe samay tak jab talak suraj tere apne hi kale ghaar se bahar na jhanke band rah dhup jab tak kodh ki surat tere kale badan ko phod kar bahar na nikle band rah jab talak ghusse ka kala jhag tujh mein kho na jae band rah band rah lambe samay tak ye ghalat-fahmi ki tere band rahne se yahan kuchh kam hua hai bhul ja bhid ke itne bade jangal mein kab kuchh kam hua hai