ai darakhto! tumhein jab kat diya jaega aur tum sukh ke lakdi mein badal jaoge aise aalam mein bahut paishkashen hongi tumhein tum magar apni riwayat se na phirna hargiz shah ki kursi mein dhalne se kahin behtar hai kisi foot-path ke hotel ka wo tuta hua takhta banna maile kapdon mein sahi log mohabbat se jahan baithte hain kisi banduq ka dasta bhi nahin hona tumhein chaqu chhuriyon ko bhi khidmat na apni dena aise darwaze ki chaukhat bhi na banna hargiz jo mohabbat-bhari dastak pe kabhi khul na sake ai darakhto! tumhein jab kat diya jaega aur tum sukh ke lakdi mein badal jaoge koi baisakhi banae to sahaara dena aur kashti ke liye itni mohabbat se tum aage badhna ki samundar ki farakhi bhi bahut kam pad jae apne patwar mere bazuon jaise rakhna jo kisi aur ki taqat ke siwa zinda hain meri duniya ki abhi waqif-e-ulfat hi nahin mere bazu bhi mohabbat ke siwa zinda hain