zamane bah gae kitne wahi aangan jo wusat mein mujhe duniya laga karta tha wo do jast nikla jis jagah dalan tha ab us jagah hamwar mitti munh chidati hai idhar hamwar mitti se udhar wo dheriyan mitti ki kab se muntazir hain koi milne hi nahin aata yahin the wo jo ab mitti hain jin ke khal-o-khad pure badan par zor de kar yaad karta hun yahin the wo mere bakse mein yaadon aur dhagon judi ainak to rakkhi hai magar dada ki nili jhilmilate paniyon jaisi do aankhen bah gai hain aur dadi ki sunai sab kathaen khak andar rah gai hain waqt ab bhi bah raha hai meri aankhon aur qabron se wahan aangan ke sukhe ped tak sare mein itni khak udti hai dikhai kuchh nahin deta