aaj bahut se lafz jo rah gae the aur wo thithurte hue harf jin ko yakja karna ba-mushkil tha kuchh jazbaat jo dil ke daman se lag kar sisak rahe the sochon ka be-hangam hujum jo dimagh ki hudud se musalsal takra raha tha ehsasat jin ki kokh mein udasi bechaargi past khali ne janm liya tha un mein kai jazbe bhi the jin ki dauran-e-hamal hi maut ho gai kuchh tukde bhi the siyah-bakhti ke kuchh rahzan bhi jo khayalat ki aabru lut liya karte the aaj un rahzanon ko suli par chadha diya gaya insaf hua aur insaf ye hua ki tum dur baithe dekh rahi thi bahut khamoshi aur dilchaspi ka mojid bana khel khel ke liye aaj in sab lafzon harufon ehsasat jazbaat aur sochon ko tere khayal se ghusl diya araq-e-gulab jo teri suji aankhon se bah raha tha is araq ko lashe par chhidakte hue aaj unhen dafna diya gaya