fareb khae hain rang-o-bu ke sarab ko pujta raha hun magar nataej ki raushni mein khud apni manzil pe aa raha hun jo dil ki gahraiyon mein subh zuhur-e-adam se so rahi thin main apni fitrat ki un khuda-dad quwwaton ko jaga raha hun main sans leta hun har qadam par ki bojh bhaari hai zindagi ka thahar zara garm-rau zamane ki main tere sath aa raha hun jahaz-ranon ko bhi tajjub hai mere is azm-e-mutmain par ki aandhiyan chal rahi hain tund aur main apni kashti chala raha hun tilism-e-fitrat bhi muskuraata hai meri afsun-taraaziyon par bahut se jadu jaga chuka hun bahut se jadu jaga raha hun ye mehr-e-taban se koi kah de ki apni kirnon ko gin ke rakh le main apne sahra ke zarre zarre ko khud chamakna sikha raha hun mera takhayyul mere irade karenge fitrat pe hukmarani jahan farishton ke par hain larzan main us bulandi pe ja raha hun ye wo gharaunde hain jin pe ek din padegi buniyaad-e-qasr-e-jannat na samjhen sukkan-e-bazm-e-ismat ki main gharaunde bana raha hun ye naz-parwardagan-e-sahil daren daren meri garm rau se ki main samundar ki tund maujon ko raundta pas aa raha hun