rangon aur khushbuon ki takhliq se pahle marne wale lamhe ki nam aankhon se aainda ke khwabon ki uryani ka dukh jhank raha tha khat-e-shuur se aaj agar hum us lamhe ki samt kabhi dekhen to ruh mein jagti gili mitti ki aawaz sunai deti hai ye duniya to mite hue us daere ki surat ka aks hai jis mein sochon aankhon aur harfon ke lakhon daere larzan hain chaaron jaanib khushbuon ke aangan mein jalte hue rangon ki lahren hawa ki dor se bandhi hui aisi kath-putliyan hain jo apne janam ki saat se is pal tak chup ki lai par nach rahi hain jaane kab se uryan khwabon ka pairahan pahne aate jate lamhon par chillati hain dekho ghaur se dekho ye uryani makhfi aur zahir mein zinda rabte ki khatir apni asl ki jaanib jhukte insanon ke wasl-talab-jazbon ki tarah sawali hain baqi daere khali hain