laila-e-shauq ki zulfon se ulajh kar main ne dekh li husn ke aaine mein taswir-e-junun karwaten leta hai is tarah ye ehsas-e-jamal jaise girti hui diwar pe ho khizr ka hath dhime dhime se chali wadi-e-aiman ki hawa gham ke hathon bhi sanwar jati hai taron-bhari raat kaun kahta hai ki duniya ko bhula baitha hun tut sakta hai bhala yun bhi kisi ka pindar maut ho jaegi pamal inhin rahon mein laghzish-e-pa mein simat aaya hai wahshi kirdar jab kabhi gesu-e-mushkin se uthi kali ghata pahlu-e-shauq se ubhra hai junun ka tufan shoala-e-barq-o-sharar phul bana kis ke liye bech aaya hai koi us ki gali mein iman khwab sa dekh raha hun magar is mahfil se tod kar jam-o-subu aaj chala aaya hun mai-e-gul-rang se chhalkaunga har saghar ko apne hamrah do aalam ka nasha laya hun