zehn ki pahnaiyon mein ek hasin takhil hai dur-uftada tabassum ya sitaron ki chamak aasmanon ki latafat ye chura laya hai kaun ghas par shabnam ho shabnam par shuaon ka hujum maryami malbus mein is tarah muskaya hai kaun nim ke budhe darakhton ke tale shayad kabhi ek saya mit gaya husn-e-do-alam kho gaya aaj wo saya bhi kis andaz se raqsan hua khun ki har bund mein taswir ubhri hai koi zindagi ko jama kar ke aaina laya hun main khak mein mil jaunga is aag mein jal jaunga aaj lekin apne hi shah-kar mein dhal jaunga