hamara roz ka mamul tha, sone se pahle baaten karne aur jhagadne ka gile-shikwe ki jin mein agli pichhli sari baaten yaad kar ke rote-dhote the kabhi hanste bhi the to sirf kuchh lamhe zara si der mein waisa hi jhagda aur wahi tane wahi sar pitna, aansu bahana, chikhna, rona yunhi rote hue khwabon ke dozakh mein bhatakna, aur so jaana! guzishta shab bhi kuchh aisi hi haalat thi magar sone se pahle wo bahut hi tilmilaya tha kaha tha main chala jaunga lekin tum faqat aadhe hi rah jaoge ek tute khilaune se! mujhe ghaiz-o-ghazab ne jaise pagal kar diya tha dafa ho jao! mera tum se koi rishta nahin baqi main khwabon ke dahakte dozakhon se subh nikla to hun lekin dekhta kya hun ki wo ghaeb hai pichhli raat se mujh ko akela chhod kar jaane kahan anjaan rahon par bhatakta phir raha hoga karun kya main? kahan dhundun use ab aisi haalat mein? mere ghar ke makino, rishta-e-daro, ai gali walo mujhe yun rassiyon se bandh kar zehni marizon ke shifa-khane mein mat bhejo ki main pagal nahin hun, chikhta, sar pitta to hun magar main chikh kar us ko bulata hun jo mera aadha hissa hai jo mera dusra main hai