sawere sair ko jate hue mere taaqub mein parindon ki chahak baad-e-sahar-gahi ke halkore khumar o khwab ki sari thakan main bhul jata hun khiram-e-kaif-awar tal khush-raftar qadmon ki rawan rakhti hai ek anjaan manzil ki taraf mujh ko suhane waqt ki wo surmai dhundli faza jis mein ghane ashjar shakh o barg raqs aaghaz karte hain darakhton ke zamurrad rang-e-pairahan ki halchal par shafaq apna tabassum jab nichhawar karne aati hai rukh giti pe sharmai hui si tazgi jis dam nazar mein qatra-e-shabnam ki surat jhilmilati hai khayal aata hai tab mujh ko ki is duniya ki jannat mein falakat aur ghurbat ke jahannam kyun dahakte hain ye husn-e-arz ke tazin o aaraish ke shaidai gham-o-andoh ke ghaaron mein nafrat ke shikanjon mein ba-nam-e-zindagi kyunki ajal ki rah takte hain bhayanak raat chha jati hai phir mere takhayyul par to meri zehn ke mashriq se ek suraj ubharta hai shuaon mein payam-e-johd ki tabindagi le kar tamazat se yaqin o azm ko mamur karta hai sahar na-ashna dil gum na kar jati hai tariki umidon aarzuon ki khabar lati hai tariki khumar o khwab ki sari thakan main bhul jata hun