abdul-karim tumhein nind kyon nahin aa rahi tumhein bhuk lagi hai shayad tumhein roz kyon bhuk lag jati hai tum gandum ugate ho palte ho use apne khun se biwi ka zewar bech kar aur bachchon ki bhuk se katte ho tapti dopahron mein aur khate ho niwale gin gin kar khate ho adhuri bhuk aur galiyan kapas ugate ho aur pahante ho paiwand lage kapde tumhein kya milta hai abdul-karim tumhaari mehnat chhin le jate hain sarkari ahlkar seth sultan landha aur koi aashiq gopang abdul-karim tum yunhi bail ki tarah mehnat karte rahe to tumhaare bachchon ko bhi yahi miras milega aadhi roti aur puri galiyan tumhein is chakrwyuh se nikalna hai apne bachchon aur un ke bachchon ki khatir apne khate sanbhaal kar rakhna abdul-karim ek din tumhein hisab lena hai tadkhe hue hathon kamar se lage pet aur bhuk se bilakte bachchon ka