suna hai ki asrar khulte the agle zamane mein insan pe jab zindagi ke to wo shahr aur bastiyon se nikal kar chala jata tha phir kahin jangalon mein guphaon mein karta khud apna tajassus liye ek anjaani manzil ki dil mein tamanna ta'alluq ki diwar-e-bosida dha kar sar apna munda kar ramata tha dhuni use log kahte the sanyasi sadhu magar aaj kuchh aur hi kaifiyat hai hawadis se afkar se zindagi ke ghamon se bashar bhagta hai unhen ajnabi jaanta hai tasalli sahaaron ki pahchanta hai na haal aur farda na mazi ka gham hai na apni khabar hai na apnon se matlab na ghairon ki parwa kabhi baith kar hotalon mein ye pita hai coffee dhuen mein kabhi kho ke ye nachta hai kabhi ghumta hai ye galiyon mein aawara hairan badhae hue baal rukhsar-o-sar ke libas-e-barahna badan par sajae banae hue bhes sanyasiyon ka ab us ne rakha hai hippy nam apna