jis qadar duniya mein makhluqat hai sab se ashraf aadmi ki zat hai is ki paidaish mein hai ulfat ka raaz is ki hasti par hai khud khaliq ko naz is ki khatir kul jahan paida hua ye zamin ye aasman paida hua aql ka jauhar ise bakhsha gaya ilm ka zewar ise bakhsha gaya is ke sar mein hai nihan aisa dimagh jis mein raushan hai liyaqat ka charagh soch kar har kaam kar sakta hai ye sher ko bhi ram kar sakta hai ye ye safai se chatanen tod de apni danai se dariya mod de man-chala hai is ki himmat hai buland dal sakta hai sitaron par kamand is ko khatron ki nahin parwa zara aag mein kuda ye suli par chadha is ke har andaz mein eajaz hai arsh tak is nur ki parwaz hai is ki baaton mein ajab tasir hai khak ka putla nahin iksir hai ye agar neki ke zine par chadhe ek din sare farishton se badhe aur agar isyan ki daldal mein phanse is ka darja kam ho haiwanat se ye kabhi rui se badh kar narm hai ye kabhi suraj se badh kar garm hai ek haalat par nahin is ka mizaj har zamane mein badalta hai riwaj aur tha pahle ye ab kuchh aur hai aae din is ka nirala taur hai is ne behad rup badle aaj tak is ki tadbiron se hairan hai falak doctor tajir professor wakil in ka hona hai taraqqi ki dalil is ke pahlu mein wo dil maujud hai jo bhadakne mein nira barud hai rail gadi radio motor jahaz is ki ijadon ka qissa hai daraaz dast-kari mein bada mashshaq hai jiddaton ka har ghadi mushtaq hai khol aankhen jang ki raftar dekh dekh is ke khaufnak auzar dekh ye kahin hakim kahin mahkum hai ye kahin zalim kahin mazlum hai aadmi jab ghair ke aage jhuka aadamiyyat se bhatakta hi gaya aadmi milna bahut dushwar hai khud khuda ko aadmi darkar hai pyare bachcho aadmi ban kar raho har kisi ke sath hamdardi karo sach agar puchho to bas wo mard hai jis ke dil mein dusron ka dard hai 'faiz' pahunchata nahin jo aadmi us ko apni zat se hai dushmani us ko apni zat se hai dushmani