log kyun dhunden khudai mujh mein aadmi hun main farishta to nahin main machalta hun gharondon ke liye unchi nichi si pasandon ke liye jaana an-jaana safar hai apna chand khwabon ka nagar hai apna koi dhunde kyun burai mujh mein aadmi hun main farishta to nahin pairon mein padtin kabhi zanjiren phir kabhi tufan banen tadbiren tut jata hun kabhi do pal mein hun main chattan kabhi mushkil mein koi dhunde kyun safai mujh mein aadmi hun main farishta to nahin