chalo ghar chalen chand chhupne laga hai samundar bhi lagta hai sone chala hai hawaon ki raftar tham si gai hai na aaega koi sahar ho chali hai na ab pas mein koi patthar bacha hai na ab bazuon mein asar rah gaya hai sadak ki sabhi raushni bujh gai hai andhera hata rah dikhne lagi hai na aahat hai koi na koi bharam hai thaki aarzu aur bojhal qadam hai nazar par baghawat asar kar rahi hai zamin bhig kar tar-ba-tar ho chali hai chalo ghar chalen chand chhupne laga hai