aadmi

tausif-e-be-kanar ka haqdar aadmi
duniya-e-shash-jihat ka sardar aadmi

sach puchhiye agar to hai donon jahan mein
takhliq-e-zul-jalal ka shahkar aadmi

khunkhar aadmi kahin gham-khwar aadmi
din-dar aadmi ki gunahgar aadmi

aadam ke donon beton ki surat jahan mein
hai aadmi se barsar-e-paikar aadmi

nadar aadmi koi zardar aadmi
kharkar aadmi koi begar aadmi

hai turfa ek tamasha pas-e-admi sada
parde pe zindagi ke adakar aadmi

zalim hai aadmi kabhi mazlum aadmi
ayyar aadmi kabhi masum aadmi

uljha hua hai aisa man-o-tu ke darmiyan
masrur aadmi kabhi maghmum aadmi

hai shad aadmi kabhi nashad aadmi
hai said aadmi kabhi sayyaad aadmi

hai aadmi ke rup mein bahrup har taraf
hirs-o-hawa ke daur mein barbaad aadmi

majbur aadmi kabhi mansur aadmi
aajar hai aadmi kabhi mazdur aadmi

har lamha ek tazad hai is ki sarisht mein
aajiz hai aadmi kabhi mafrur aadmi

qudsi se bhi bada hai ye nachiz aadmi
mahbub-e-kibriya hai ye nachiz aadmi

zulmat-ba-dosh dahr mein dekho jo ghaur se
tanwir-e-be-baha hai ye nachiz aadmi

taswir-e-sad-nigar hai duniya mein aadmi
paighambar-e-bahaar hai duniya mein aadmi

sach pochhiye to wusat-e-insan ki had nahin
ek bahr-e-be-kanar hai duniya mein aadmi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close