tumhaare lams ki khushbu ne sandal kar diya hai ki main pagal thi tum ne aur pagal kar diya hai tamazat hijr ki phir se badan jhulsa rahi thi tumhaari yaad ko phir hum ne baadal kar diya hai hamare waste aasan nahin tha phir bhi hum ne tumhein lipta ke tum ko apna aanchal kar diya hai muqaddar ki siyahi aaj kuchh to kaam aai saja ke aankh mein is ko bhi kajal kar diya hai main sahra ki tarah banjar thi lekin ai meri jaan tumhaare pyar ki barish ne jal-thal kar diya hai yahan ek hansta-basta shahra hota tha 'tabassum' jise insan ki wahshat ne jangal kar diya hai