aaftab aafat hai aab ke liye lekin mere dil ke chashmon mein aaftab khilte hain mere dil ke chashme jo aasman ke pedon mein saya saya bahte hain dhup in ke pani mein khwab ki tarah uryan parbaton ki jholi mein baith kar nahati hai apne phul se panw paniyon mein dhoti hai arsh ki nigahon mein ye magar kharabi hai aasman walon ne dil ke husn-e-uryan ko wo libas bakhsha hai jis ke sakht pardon mein dhup bhi hijabi hai!!