chand ne muskura kar kaha dosto qissa-e-dard chhede sar-e-rah kaun phir bhi tare musir the ki hum aaj ki shab sunenge wahi an-suni dastan der tak chand socha kiya dur aafaq ki samt dekha kiya aur taron ki aankhen chhalakti rahin raat ke daman-e-tar ko aahista aahista lamhon ka thanda lahu jazb ho ho ke rangin karta raha na-gahan ek nadida zarrin raqam dast-e-simin badha aur ufuq-ta-ufuq ek jumbish mein khinche hazaron karodon talai khutut dub kar rah gae shab ke sare nuqut chashm-e-afaq se awwalin qatra-e-dard tapka kisi barg-e-nau-khez par aks-e-anjam rukhsar-e-aghaz par