aag jab pahle-pahal sarsabz wadi mein utri to logon ne kaha aag raushan hai aur un mein se jo ziyaada sochte the bole aag khuda ka mazhar hai khuda ki tarah khubsurat raushan aur taqat-war chand logon ne dabi zaban se kaha bhi aag kis ki dost hui hai lekin un ki zabanen kat di gain aur un ke sar qalam kar diye gae aur jahan aag utri thi wahan ek mabad tamir kar diya gaya aur aag phailti rahi chand logon ne phir dabi zaban se kaha aag bhala kis ki dost hui hai aur un ki zabanen bhi kat di gain aur un ke sar bhi qalam kar diye gae aur aag phailti rahi zabanen katti rahin aur sar qalam hote rahe yahan tak ki sari wadi ek mabad ban gai aur mabad khandar ban gaya aur wo jo ziyaada sochte the wo sochte sochte aag ka rizq ban gae aag bhala kis ki dost hui hai