dam-ba-dam apni hi nazron se utarte hue log hain ajab log ye har sans mein marte hue log yaad-e-mazi ke kharabon mein thithurte hue log khisht-e-parina ki manind bikharte hue log lazzat-e-zist se khaif gham-e-hasti se khafa apne jazbaat se har lahza mukarte hue log jalwa-e-ru-e-haqiqat se nigahen phere apne auham se sargoshiyan karte hue log in ki aankhon mein dhundalkon ke siwa kuchh bhi nahin khwab kya dekhenge tabir se darte hue log