main aag bhi tha aur pyasa bhi tu mom thi aur ganga-jal bhi main lipat lipat kar bhadak bhadak kar pyas bujhati aankhon mein bujh jata tha wo aankhen sapne wali si sapna jis mein ek basti thi basti ka chhota sa pul tha soe soe dariya ke sang pedon ka milon saya tha pul ke niche aksar ghanton ek chand pighalte dekha tha ab yaad mein pighli aag bhi hai aankhon mein bahta pani bhi main aag bhi tha aur pyasa bhi