dariche baz the thandi hawa ki narm dastak se nawa-e-nim-shab aankhen thithak kar khul gain mahtab ke khamosh jadu se samundar bhi humakta tha mujhe wo nam kya dena jhalak khud ism gar ki jis mein aati ho mujhe kyun qaid karte ho main mutthi mein sama jaun tilismi taqaten be-asra bandon ko dahlaen kahin diwar par chaspan garebanon ki zinat mein balaon se hifazat kar sakun kyun nam dete ho hazaron qarna-ha qarnon se yun hi chand barsa hai samundar aah bharta hai moattar phul ke gajron mein bas kar faslon ke lams ki duri tadapti hai mujhe mahsus kar lo aankh-bhar kar dekh lo phir nind ki tah mein thirakte barg aawara ki surat dubte jao mujhe be-nam rahne do