mujhe batao ki main kahan hun mujhe samjhao main kaun hun kya hun aur kyun hun main be-basar be-khabar safar ki be-rahm saaton ka asir in raston ka rahi ki jin ka har sang-e-mil be-chehra be-nishan hai khizan-zada barg-e-khushk andhi hawa ke pur-shor be-samaat bipharte rele ki rahguzar par main an-ginat be-shumar salon se na-rasai ke karb se dil-e-shikasta aur pa-figar rahi ki jis ki har sai-e-be-samar ne ki jis ki har kawish-e-safar ne kuchh aur manzil ke faslon ko badha diya hai misal mere safar ki tamsil-e-al-e-musa ki apne dasht-e-amal mein apni siyah-bakhti ka hath pakde rawan-dawan hun kai zamanon se aur jab bhi thahar ke kuchh dekhta hun apne safar ka hasil to koi manzil na rah-e-manzil chala tha main jis jagah se ab bhi wahan khada hun mujhe batao ki main kahan hun mujhe sujhao main kaun hun kya hun aur kyun hun mere badan par na mera chehra na mere munh mein zaban meri na meri aankhen na kan mere main ajnabi jism ke hawale se apni pahchan ka hun aadi na soch meri na zehn mera na fikr meri na mujh ko apna shuur-e-zati mere tashakhkhus ke waste mere muhsin-o-chaara-saz late rahe hain barson hasin hasin khush-libas surk-o-safed chehre koi musir hai safed chehra mere badan par bahaar dega kisi ko israr surkh-chehra bahut sajega hasin hasin khush-libas chehron ki yurish-e-be-panah ke hathon main apna chehra bhula chuka hun main apni pahchan kho chuka hun mujhe dikhao to mera chehra ki main bhi jaanun ki main bhi samjhun main kaisa lagta hun aaine mein ki meri pahchan mustaqil ho main apne hi jism ke hawale se apni pahchan to karaun main kaun hun kya hun aur kyun hun sawal awwal sawal aakhir meri har ek samt aaj likkha hua hai harf-e-sawal dekho sawal jo soch ki kiran hai sawal jo aagahi ka zina hai khud-shanasi ka ek chalan hai mujhe batao jawab kitna hi talkh ho us ko main sununga mujhe pilao main qatra qatra ye zahr-e-khud-agahi piyunga ki is tarah wo jo main nahin hun ye zahr pi kar mite to shayad main dekh paun use jo main hun