bazm-e-alam mein wo kaifiyat-e-rang-o-bu nahin raunaq-e-aiwan-e-geti aaj shayad tu nahin aah kya tu pur-sukun hai qabr ki aaghosh mein chain kyunkar aa gaya is mahshar-e-khamosh mein sarmadi naghmat se ab dil ko tadpaega kaun ab sitare aasman se tod kar laega kaun majlisi lanat par ab tanqid farmaega kaun aur use rangin pairae mein samjhaega kaun aah ab kis se sunenge aatishin naghmat hum aah ab kis se kahenge apne ehsasat hum hind ki doshiza dewi ko diya sada libas tere hi pur-kaif naghmon ne bujhai dil ki pyas maghribi tahzib mein duba hua tha har jawan mashriqi atwar se bezar tha hindostan tu ne apne dil ki chingari se bhadkai wo aag naghma-e-mashriq se dab kar rah gaya maghrib ka rag saz tera aatishin aawaz tufani teri hashr tak yaad aaegi wo hashr-samani teri