raat jab har chiz ko chadar udha de dhanp le kale paron mein aag lapton si zabanen azdahe jab apne andar band kar len tab usi kale samay mein tum gharon ki qabr se bahar nikalna aur basti ke kinare khwab mein khamosh bahte aadmi se aa ke mujh ko dhundhna main wahin tum sab se kuchh aage milunga aur andhera sa tumhaare aage aage main chalunga raushni le kar chalunga to mujhe tum se bhi pahle aur koi dhundh lega