ek nae daur ka aaghaz hua dar-e-ashufta-sari baz hua na-shakebai ki chalti hai hawa be-yaqini ki ubharti hai sada aae mandlate hue abr-e-shuur liye hamrah khayalat-e-jasur muntazir shauq hai bechain nidhaal jaane kab mausam-e-baran aae hae tabdili-e-mausam ki umid rang lae hai ba-tadrij junun tutne wala hai har ek fusun han khudaon ki khudai ka fusun kaj-dimaghon ki badai ka fusun aa nae daur tujhe chum to lun