dur se jalwa dikhao ki mera roza hai tum mere pas na aao ki mera roza hai ghat sake din to ghatao ki mera roza hai badh sake raat badhao ki mera roza hai qarz uthao ki churao magar ai ahl-e-haram bisiyon khane pakao ki mera roza hai mere bachcho kahin baghiche mein khelo ja kar gul-ghapada na machao ki mera roza hai bandh lo aankhon pe patti meri begam ya tum aise ban-than ke na aao ki mera roza hai koi aawaz bhi kanon mein na aae mere ghar mein jhadu na phirao ki mera roza hai ghar ke darwaze pe ye likh diya notice main ne ghar ki ghanti na bajao ki mera roza hai rasta apna badal den ye hawa mein apna in jahazon ko batao ki mera roza hai tut hi jae na roza mera bas dhachke mein zor se bus na chalao ki mera roza hai kaam ho sakta hai daftar ka kahin rozon mein mez kursi ko hatao ki mera roza hai sath chalta hun main pub mein mere yaro lekin ba'd iftar pilao ki mera roza hai hont papdae hain utra hua chehra dekho aaj tum man hi jao ki mera roza hai tum ibaadat mein tijarat ki milawat karke dudh pani mein milao ki mera roza hai tum na be-rozon se 'bulbul' kabhi aise uljho galiyan yunhi na khao ki mera roza hai