masaib uljhanen be-tabiyan be-khwabiyan likkhun magar kheton ki shadabi gulon ki raunaqen kaliyon ka dhima husn raushan phul angare falak par jagmagate mah-o-anjum ka sajila-pan saba ki shokhiyan narmi hawa ki gul ka pairahan jo manzar mujh se bahar hain kabhi lagta hai shayad mujh se behtar hain kabhi lagta hai mujh ko ki wo be-tabiyan be-khwabiyan jo mere andar hain unhen kaliyon ka dhima-pan sajawat mah-o-anjum ki achanak mil gai jaise saba ki shokhiyon se gudgudane wale din aae hawa ka narm jhonka jo abhi aanchal se uljha tha koi paigham laya hai gulon ki raunaqen kaliyon ka dhima husn raushan phul angare falak par jagmagate mah-o-anjum ka sajila-pan saba ki shokhiyan narmi hawa ki gul ka pairahan ye manzar mere andar yun utarte ja rahe hain saba ki shokhiyon se gudgudane wale din aae nahin to aa rahe hain