lamhe udte hain kabhi ya to titliyon ki tarah ya kabhi khushbuon ki manind chikh uthte hain usi raftar usi shor-o-ghul ke daere kisi bhi lamhe ko mazi nahin banne dete simatte phailte sanche mein waqt ke dhal kar ajab shakl ke ban kar zamana rakhte hain nam zamana jaise ek faqa-zada giddhon ka giroh be-kafan ummidon ki lashon pe nazren gade hue muntazir rahta hai jhapte kab kafnai hui umangon ki bhid chita ki aanch mein lalach mein gher dale hue khadi hui hai jo kab se khadi rahe kab tak