sukun bhari kisi khamosh jhil ke kinare amaltas si main mausam-e-bahaar mein mohabbat ke jazire se aati pur-asar hawaon ke jhonkon ki guftugu sunti hun kisi ajnabi si zaban mein kuchh an-kahe se lafz hain kisi jaane pahchane se kirdar ki kuchh nai nai si aawaz hai kisi sune sune se fasane ke kuchh an-dekhe andaz hain main dekhti hun ki kuchh nae nae se phul meri sharmili si tahniyon mein kuchh narangi sa rang liye hue hai koi nashili si mahak hai ye kaisi kahani hai ye kya rang hai