tumhaari zaban se gira ek shokh lafz barish yun laga ki mujhe chhu gaya ho jaise khidki ke bahar bundon ki tiptipahat kanon se hoti hui dhadkan tak aa pahunchi ek sangit ek rag tha donon mein patton par pani ki bunden yun lagi mano tum ne chamakti si kuchh khwahishen rakhi hon gili gili yaadon ki kuchh phuhaaren safed jhine pardon se aati thandi hawa dur tak phaile hue dewdar ke darakht aur un ki nau-umr tahniyan ki sargoshiyan pairon ki ungliyon mein gudgudi kar gai suno na main kasmasa jati hun yun na mera nam liya karo