aah-e-na-tamam

sham-e-gham uf zindagi thi meri ghabrai hui
meri hasti par faza-e-yas thi chhai hui

badh rahi thi ek bechaini dil-e-nashad mein
bah rahe the ashk aankhon se kisi ki yaad mein

yaad aata tha koi rah rah ke mujh ko bar-bar
ho rahe the jis se rukhsat hijr mein sabr-o-qarar

meri haalat koi us dam dekhne wala na tha
charkh par bikhre hue afsurda taron ke siwa

yaad aata ja raha tha mujh ko koi zar-nigar
jis pe hoti hai tasadduq sehn-e-gulshan ki bahaar

lamha lamha main liye jata tha us ke nam ko
jis se hoti thi tasalli is dil-e-nakaam ko

kya kahun 'shahid' kisi se thi ye aisi gham ki sham
dil mein soz-e-na-mukammal lab pe aah-e-na-tamam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close