hum ek hain

hai apna yaqin desh ke diwane sabhi hain
is shama-e-ziya-bar ke parwane sabhi hain

hain waqf yahan is ki mohabbat ke liye hum
jaan de denge is desh ki azmat ke liye hum

koi bhi hamein is se juda kar nahin sakta
hum se bhi koi is ka gila kar nahin sakta

ta-zist isi ke liye sarshaar rahenge
is mai ke hamesha hi talabgar rahenge

izzat ko kabhi is ki girane nahin denge
dushman ko kabhi aankh uthane nahin denge

ulfat hai to aankhon ke guhar ek hain apne
do samt sahi dil to magar ek hain apne

zinhaar na 'shahid' bura aapas mein kahenge
hum ek the hum ek hain hum ek rahenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close