irada aahani tha ye ki tum ko bhul jaenge tumhaara khub-ru paikar khanakte qahqahe aawaz dilkash zer-o-bam lahje ka wo zirak nigahen ana-parwar apollo ho koi maghrur yunani wo aankhen be-tassur jo har ek jazba chhupa lene ki mahir thin bahut gambhir khamoshi ko odhe yun ki jaise kurra-e-arzi pe koi dewta ghalati se aa jae magar mera wazifa tha faqat rahen tumhaari dekhte rahna tumhein dekha to ye jaana faqat ek shakhs ka ehsas kaise dil ke sahra mein gul-e-lala ke khil uthne ka zamin hai ye aankhen jugnuon ka dip aakhir kaise banti hain shafaq gulgun kisi aariz pe kaise phail jati hai ki dil ki dhadkanen kaise saba-raftar hoti hain wo har ek baat mein tum se hi mera mashwara lena yun jaise mamlikat mein rabb-e-kaba ki faqat tum hi dawa sare maraz ki ho yun jaise rah-gum-karda musafir ke safar mein rahnumai ko qutub-tara koi ubhre kabhi mere sawalon ki himaqat par wo mubham muskurahat zer-e-lab jaise shab-e-tarik mein bijli koi pal-bhar ko chhab apni dikha jae tumhaari ye karam-farmaiyan mamul thin jin ko mohabbat ke ufuq par jawedan karne ki khwahish ek jasarat thi khata sarzad hui hum se irada aahani tha ye ki tum ko bhul jaenge magar ye bhul baithe hum ki aahan ko bhi aakhir zang lagta hai