ajab pagal si ladki thi ajab si khwahishen us ki wo haft-aflak ki dhun mein hawa ke dosh par raqsan lagan mein fash karne ki zamin-o-asman ke raaz-e-sar-basta zamin ke sath zid bandhe ki gird-e-mehr-e-alam-tab kyon ye raqs-e-paiham mujhe is kulliye ko tod kar zamin-o-asman se aage jaana hai wahi pagal si ladki achanak aan takrai thi mujh se alif laila ke safhon se nikal kar kisi rumanwi afsane ke kirdar ki surat kabhi likh bhejti thi lafz kuchh aise ki main hairan hota tha kabhi kahti ki main jibril hun us ki hira ka kabhi likh bhejti ai kuza-gar mere tumhaare raqs karte chaak ka mearaj hun main tumhaare fan ki hun takmil main kabhi hanste hue ek nam deti thi mujhe ham-zad kahti thi ajib pagal si ladki thi ajab si khwahishon ko lafz deti thi ajab farmaishen karti kabhi kahti suno ham-zad meri baat bahut hi munfarid ho tum nahin lagte tum is kurre ke bashinde ki is duniya mein koi ajnabi ho tum tumhein kun kahne wale ne faqat mere liye bheja ajab pagal si ladki thi wo mere iltifat-e-chashm par nazan kabhi kahti tumhaara mujh se yun milna meri khush-bakhti ka zamin achanak guftugu ke darmiyan u-turn leti thi mujhe hairan hone ki bhi wo mohlat na deti thi wo kah uthti suno ek baat kahni hai ijazat ho tumhaari gar to bas ek tin lafzi kalima kahna hai mujhe tum se suno alfaz ki duniya se kaisi chashm-poshi ye main khud mein muskuraata aur phir mauzua badal deta labon se us ke ek jharne ki qulqul jari hoti thi main us jumle se jitna hi gurezan wo utni hi kamar-basta wo har din muskuraati aankhen apni tasawwur ki nigahon se meri aankhon mein dale shararat se bhare jumle yun meri nazr karti thi ijazat hai mere hamdam kaho ab kah bhi dun ye karb-e-jaan-lewa kab talak rihai kab milegi is ummid-o-na-umidi se main kah uthta agar isbaat mein radd-e-amal zahir kiya main ne to phir tum chaar-harfi lafz ki pagal si khwahish pal baithogi ajab pagal si ladki thi magar jab aaj is lamhe ijazat mangte alfaz us ke rida-e-khamushi ko odh kar chup-chap baithe hain to dil mera ajab sargoshiyan karne ko pagal suno ham-zad meri wahi sah-lafzi jumla main tum se aaj kahta hun magar aawaz ke an-dekhe sae kisi ifrit ki surat mujhe hi jakde rahte hain ye pachhtawe ka barzakh aur main hun ki ab anasir muntashir aur gum-shuda nabzen faza mein bazgasht ek aarzu ki gunjti har pal